Sunday, May 2, 2010

Kaarwan Guzar Gaya..........



Swapn Jhare Phool Se, Meet Chubhe Shool Se
Lut Gaye Singar Sabhi, Baag Ke Babool Se
Aur Hum Khare-Khare Bahaar Dekhate Rahe
Kaarwan Guzar Gayaa, Gubaar Dekhate Rahe

Neend Bhi Khuli Na Thi, Ki Haay Dhoop Dhal Gayi
Paanw Jab Talak Uthen Ki Zindagi fisal Gayi
Paat-Paat Jhar Gaye Ki Shaakh-Shaakh Jal Gayi
Chaah To Nikal Saki Na Par Umar Nikal Gayi
Geet Ashk Ban Gaye, Chhand Ho Dafan Gaye
Saath Ke Sabhi Diye, Dhunan Pahan Pahan Gaye
Aur Hum Jhuke-Jhuke, Mod Par Ruke Ruke
Umra Ke Utar Ka Chadhaaw Dekhate Rahe
Kaarwan Guzar Gayaa, Gubaar Dekhate Rahe

Kyaa Shabaab Thaa, Ke Phool-Phool Pyaar Kar Uthaa
Kyaa Shringaar Thaa, Ke Dekh Aaina Sihar Uthaa
Is Taraf Zameen Aur Aasman Udhar Uthaa
Thaam Kar Jigar Uthaa Ke Jo Mila Nazar Uthaa
Ek Din Magar Yahaan, Aisi Kuch Hawa Chali
Lut Gayi Kali-Kali Ke Ghut Gayi Gali-Gali
Aur Hum Lute-Lute, Waqt Se Pite Pite
Saans Ki Sharab Ka Khumar Dekhate Rahe
Kaarwan Guzar Gayaa, Gubaar Dekhate Rahe

No comments:

Post a Comment