Friday, July 16, 2010

Hum Bhul Gaye Re Har Baat



Koi Hai Jo Bhul Gaya Hai Mujhe,
Par Har Lamha Mujhe Yaad Aata hai......

Khata Uski Nahi, Khot Apne Me Lagta Hai Mujhe,
Paras Ki tarah Pawan Hai wo, Bas isiliye wo mujhe raas aata hai...........

Ishq is imtehan itni ho gayi hai, ke Hijra me bhi ab nahi rulata hai Mujhe,
Kaise kahen ye mohabbat ki deewangi hai ke wo door jakar phir mere paas aata hai.......

Kareeb Wo mere Kabhi itna aaya tha ab bas wo hi Bhaya hai Mujhe,
Samay ne khele khel nirale hain, sone ke sapne hain sabhi, jagne par kuch bhi nahi haath aata hai..................

Intezar ki imtehan ab to ta-umra rahegi, par Judai me bhi ab Maza aata hai Mujhe,
Zamana guzar gaya apne liye rab ke pahar bhuja uthaye huye, bas wo khush rahe to fanna ho mera jahan jata hai..............

Ashq to ab kabke naino ka saath chod chuke, ab to bas ek hi khwab aata hai Mujhe,
Sapno me milte huye der bhi nahi hoti aur, har roz hume phir juda karne ye kambakht savera aata hai...............

Bas Aitbar-e-dil ke saza hai yaaron, har jagah wo hi nazar aata hai mujhe,
Aisi koi raah na bachi, jahan uski raah na dekhi ho, par kya karun me wo mujhase milne har raah aata hai..........

Hosh Kho gaye jeene ke, ab to har baat pe marna aata hai mujhe,
Hum bhul gaye re har baat, par kya karun bhulne ko naya khyal har raat aata hai...........

Samay ki ret phisal rahi hai haathon se, use na rokna aata hai mujhe,
Kahate hain waqt marham hai, phir kyun wo har lamha dil ke zakham ko nasoor bana jaata hai....................

Dil ke zakham ab badhte ja rahe hain, par is dard ko sahana aata hai mujhe,
Main ye nahi kahta ke mohabbat na karo, Par yaaro Aashiq humesha dard-e-dil ke saath aata hai...................

Bedard bahut hai wo mera katil, par uski is ada pe pyar bahut aata hai mujhe,
Bhari mehafil me aaj elan-e-Mohabbat karte hain, ke jiske haath me khanjar hai wo hi hai jo mujhe bahut raas aata hai....................

Jism se ishq ko tolne wali duniya pe taras bahut aata hai mujhe,
Yog aur Bhog ke Banwar me fanse insan ko dekh kar mujhe apni halat aajkal fakr aata hai.........................

Main to deewana hun, khud bhi ye nazar aata hai Mujhe,
Bata do aye duniya walon ke yahan pe kon deewana nahi, jo deewana nahi use bhi kya jeena aata hai.............

Sharab to bas ek bahana hai, uski khumari me nasha aata hai mujhe,
Madira ke nashe ko sach samjhne walon ko peena kya khak aata hai............

Raat ke baad suraj ki kiran dikhane walo par ab hansna aata hai mujhe,
Log kahne se pahle ye bhul jaya karte hain ke savera to suraj aane se hota hai, warna suraj to humesha aadhi raat hi aata hai...............


Pushpkant

Wednesday, May 5, 2010

Mujhe Nigahon Me Lele..........



Bahut Thak Gayi Hun Main,
Tu Mujhe Apni Bahon Me Lele |


Na Soch Ke Dekh Rahaa Hai Koi,
Mujhe Tu Apni Panhon Me Lele |


Kisi Nazar Ki Parwaah Naa Kar,
Mujhe Apni Nigaahon Me Lele |


Naa Rah Jaun Kaheen Is Duniyaa Main Kaid Hoker Main,
Usase Pahle Tu Samaa Ja Mujhame,
Aur Mujhe Apni Saanson Me Lele |


Kabhi Chahun To Bhi Judaa Naa Ho Paaun Tujhase,
Tu Mujhe Apni Rooh Ki Gahraiyon Me Lele |


Tu Ban Ja Mera Naam,
Banaa Le Mujhe Apni Parchhaayi,
Mujhe Apni Khushi Aur Gham Ki Aahon Me Lele |
Abhilasha

Sunday, May 2, 2010

Kaarwan Guzar Gaya..........



Swapn Jhare Phool Se, Meet Chubhe Shool Se
Lut Gaye Singar Sabhi, Baag Ke Babool Se
Aur Hum Khare-Khare Bahaar Dekhate Rahe
Kaarwan Guzar Gayaa, Gubaar Dekhate Rahe

Neend Bhi Khuli Na Thi, Ki Haay Dhoop Dhal Gayi
Paanw Jab Talak Uthen Ki Zindagi fisal Gayi
Paat-Paat Jhar Gaye Ki Shaakh-Shaakh Jal Gayi
Chaah To Nikal Saki Na Par Umar Nikal Gayi
Geet Ashk Ban Gaye, Chhand Ho Dafan Gaye
Saath Ke Sabhi Diye, Dhunan Pahan Pahan Gaye
Aur Hum Jhuke-Jhuke, Mod Par Ruke Ruke
Umra Ke Utar Ka Chadhaaw Dekhate Rahe
Kaarwan Guzar Gayaa, Gubaar Dekhate Rahe

Kyaa Shabaab Thaa, Ke Phool-Phool Pyaar Kar Uthaa
Kyaa Shringaar Thaa, Ke Dekh Aaina Sihar Uthaa
Is Taraf Zameen Aur Aasman Udhar Uthaa
Thaam Kar Jigar Uthaa Ke Jo Mila Nazar Uthaa
Ek Din Magar Yahaan, Aisi Kuch Hawa Chali
Lut Gayi Kali-Kali Ke Ghut Gayi Gali-Gali
Aur Hum Lute-Lute, Waqt Se Pite Pite
Saans Ki Sharab Ka Khumar Dekhate Rahe
Kaarwan Guzar Gayaa, Gubaar Dekhate Rahe

Saturday, May 1, 2010

|||| kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata he ||||

kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata he ! Ke zindagi teri Zulfon ki narm chhao me guzarne pati,
To shahdaff ho bhi sakti thi !
Ye ranj-o-gham ki syahi, jo dil pe chhayi hai,
Teri nazar ki shuaon me kho bhi sakti thi !!
Magar Ye ho na saka, Magar ye ho na saka, Aur ab ye aalam hai !
Ke tu nahi, tera gum, teri justjoo bhi nahi !
Guzar rahi hai kucha is tarah zindagi jaise,
Ise kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahi !!
Na koi rah, na manzil, na roshni ka surag,
Bhatak rahi hai, andheron me zindagi meri !
Inhin andheron me rah jaounga kabhi kho kar !!
Main jaanta hoon meri hum-nafaz !
Magar yunhi kabhi-kabhi mere dil me khyaal aata hai.........

Friday, April 30, 2010

Is Zahar Ka Utarnaa Hai Mushkil....................



Kab Andheron Ne Luta He Humko,
Hum Ujaalon Ke Ghaate Huye Hein
Is Jahar Ka Utarna He Mushkil,
Hum Bahaaron Ke Kaate Huye Hein...
Dushmano Ne To Himmat Badhai,
Dosti Mein Sadaa Maat Khaayi
Kaam Aate Rahe Hein Paraye,
Humse Apno Ne Ki Bewafayi
Wo Ilaaji Dawa Pa Rahe Hein,
Hum Alag Unse Chhante Huye Hein
Is Jahar Ka Utarna He Mushkil........
Pyar karke Fajita Mila He,
Aadmi Maan Se Rita Mila He
Paap Jab Bhi Mila He Jamin Par,
Haath Mein Lekar Geeta Meela He
Dard Apne Hi Dil Ke Diye Hein,
Rog Duniya Ke Baante Huye Hein
Is Jahar Ka Utarna He Mushkil....