Friday, July 16, 2010

Hum Bhul Gaye Re Har Baat



Koi Hai Jo Bhul Gaya Hai Mujhe,
Par Har Lamha Mujhe Yaad Aata hai......

Khata Uski Nahi, Khot Apne Me Lagta Hai Mujhe,
Paras Ki tarah Pawan Hai wo, Bas isiliye wo mujhe raas aata hai...........

Ishq is imtehan itni ho gayi hai, ke Hijra me bhi ab nahi rulata hai Mujhe,
Kaise kahen ye mohabbat ki deewangi hai ke wo door jakar phir mere paas aata hai.......

Kareeb Wo mere Kabhi itna aaya tha ab bas wo hi Bhaya hai Mujhe,
Samay ne khele khel nirale hain, sone ke sapne hain sabhi, jagne par kuch bhi nahi haath aata hai..................

Intezar ki imtehan ab to ta-umra rahegi, par Judai me bhi ab Maza aata hai Mujhe,
Zamana guzar gaya apne liye rab ke pahar bhuja uthaye huye, bas wo khush rahe to fanna ho mera jahan jata hai..............

Ashq to ab kabke naino ka saath chod chuke, ab to bas ek hi khwab aata hai Mujhe,
Sapno me milte huye der bhi nahi hoti aur, har roz hume phir juda karne ye kambakht savera aata hai...............

Bas Aitbar-e-dil ke saza hai yaaron, har jagah wo hi nazar aata hai mujhe,
Aisi koi raah na bachi, jahan uski raah na dekhi ho, par kya karun me wo mujhase milne har raah aata hai..........

Hosh Kho gaye jeene ke, ab to har baat pe marna aata hai mujhe,
Hum bhul gaye re har baat, par kya karun bhulne ko naya khyal har raat aata hai...........

Samay ki ret phisal rahi hai haathon se, use na rokna aata hai mujhe,
Kahate hain waqt marham hai, phir kyun wo har lamha dil ke zakham ko nasoor bana jaata hai....................

Dil ke zakham ab badhte ja rahe hain, par is dard ko sahana aata hai mujhe,
Main ye nahi kahta ke mohabbat na karo, Par yaaro Aashiq humesha dard-e-dil ke saath aata hai...................

Bedard bahut hai wo mera katil, par uski is ada pe pyar bahut aata hai mujhe,
Bhari mehafil me aaj elan-e-Mohabbat karte hain, ke jiske haath me khanjar hai wo hi hai jo mujhe bahut raas aata hai....................

Jism se ishq ko tolne wali duniya pe taras bahut aata hai mujhe,
Yog aur Bhog ke Banwar me fanse insan ko dekh kar mujhe apni halat aajkal fakr aata hai.........................

Main to deewana hun, khud bhi ye nazar aata hai Mujhe,
Bata do aye duniya walon ke yahan pe kon deewana nahi, jo deewana nahi use bhi kya jeena aata hai.............

Sharab to bas ek bahana hai, uski khumari me nasha aata hai mujhe,
Madira ke nashe ko sach samjhne walon ko peena kya khak aata hai............

Raat ke baad suraj ki kiran dikhane walo par ab hansna aata hai mujhe,
Log kahne se pahle ye bhul jaya karte hain ke savera to suraj aane se hota hai, warna suraj to humesha aadhi raat hi aata hai...............


Pushpkant