Wednesday, May 5, 2010

Mujhe Nigahon Me Lele..........



Bahut Thak Gayi Hun Main,
Tu Mujhe Apni Bahon Me Lele |


Na Soch Ke Dekh Rahaa Hai Koi,
Mujhe Tu Apni Panhon Me Lele |


Kisi Nazar Ki Parwaah Naa Kar,
Mujhe Apni Nigaahon Me Lele |


Naa Rah Jaun Kaheen Is Duniyaa Main Kaid Hoker Main,
Usase Pahle Tu Samaa Ja Mujhame,
Aur Mujhe Apni Saanson Me Lele |


Kabhi Chahun To Bhi Judaa Naa Ho Paaun Tujhase,
Tu Mujhe Apni Rooh Ki Gahraiyon Me Lele |


Tu Ban Ja Mera Naam,
Banaa Le Mujhe Apni Parchhaayi,
Mujhe Apni Khushi Aur Gham Ki Aahon Me Lele |
Abhilasha

Sunday, May 2, 2010

Kaarwan Guzar Gaya..........



Swapn Jhare Phool Se, Meet Chubhe Shool Se
Lut Gaye Singar Sabhi, Baag Ke Babool Se
Aur Hum Khare-Khare Bahaar Dekhate Rahe
Kaarwan Guzar Gayaa, Gubaar Dekhate Rahe

Neend Bhi Khuli Na Thi, Ki Haay Dhoop Dhal Gayi
Paanw Jab Talak Uthen Ki Zindagi fisal Gayi
Paat-Paat Jhar Gaye Ki Shaakh-Shaakh Jal Gayi
Chaah To Nikal Saki Na Par Umar Nikal Gayi
Geet Ashk Ban Gaye, Chhand Ho Dafan Gaye
Saath Ke Sabhi Diye, Dhunan Pahan Pahan Gaye
Aur Hum Jhuke-Jhuke, Mod Par Ruke Ruke
Umra Ke Utar Ka Chadhaaw Dekhate Rahe
Kaarwan Guzar Gayaa, Gubaar Dekhate Rahe

Kyaa Shabaab Thaa, Ke Phool-Phool Pyaar Kar Uthaa
Kyaa Shringaar Thaa, Ke Dekh Aaina Sihar Uthaa
Is Taraf Zameen Aur Aasman Udhar Uthaa
Thaam Kar Jigar Uthaa Ke Jo Mila Nazar Uthaa
Ek Din Magar Yahaan, Aisi Kuch Hawa Chali
Lut Gayi Kali-Kali Ke Ghut Gayi Gali-Gali
Aur Hum Lute-Lute, Waqt Se Pite Pite
Saans Ki Sharab Ka Khumar Dekhate Rahe
Kaarwan Guzar Gayaa, Gubaar Dekhate Rahe

Saturday, May 1, 2010

|||| kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata he ||||

kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata he ! Ke zindagi teri Zulfon ki narm chhao me guzarne pati,
To shahdaff ho bhi sakti thi !
Ye ranj-o-gham ki syahi, jo dil pe chhayi hai,
Teri nazar ki shuaon me kho bhi sakti thi !!
Magar Ye ho na saka, Magar ye ho na saka, Aur ab ye aalam hai !
Ke tu nahi, tera gum, teri justjoo bhi nahi !
Guzar rahi hai kucha is tarah zindagi jaise,
Ise kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahi !!
Na koi rah, na manzil, na roshni ka surag,
Bhatak rahi hai, andheron me zindagi meri !
Inhin andheron me rah jaounga kabhi kho kar !!
Main jaanta hoon meri hum-nafaz !
Magar yunhi kabhi-kabhi mere dil me khyaal aata hai.........